ISLAMIC INFORMATION CENTRE ONLINE UNIVERSITY


๐Ÿ“ข GOOD NEWS โ€“ Alhamdulillah!

Musalmano ke liye ek behtareen gift ๐ŸŽ

๐Ÿ“– Online Qurโ€™an Quiz โ€“ Season 7  

by IIC Mumbai

๐Ÿ† Abki Baar 1000 Logon Ko Prize!

๐Ÿ“ฒ Ghar baithe Qurโ€™an samajhkar padhiye  

โœ… Sahi jawab deejiye  

๐Ÿ† Inaam bhi jeetiye โ€“ In Sha Allah!

๐ŸŽฏ Is baar 30 marks extra paane ka mauqa!  

(20+5+5 โ€“ details application mein)

๐Ÿ“ฒ Join karne ke liye abhi download karein

๐Ÿ”— Android App:  

๐Ÿ‘‰๐Ÿป https://play.google.com/store/apps/details?id=com.zaidpatel_iic.iic_islamic_information_center

๐Ÿ”— iPhone App:  

๐Ÿ‘‰๐Ÿป https://itunes.apple.com/us/app/iic-mumbai/id1292488096?mt=8

๐Ÿ“ž Helpline: 8080807837 

โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”

๐Ÿฅ‡ 1st Prize: โ‚น7600  

๐Ÿฅˆ 2nd Prize: โ‚น3115  

๐Ÿฅ‰ 3rd Prize: โ‚น1795  

๐Ÿ… 4th Prize: โ‚น1390  

๐ŸŽ– 5th Prize: โ‚น1115  

๐ŸŽ– 6th Prize: โ‚น930  

๐ŸŽ– 7th Prize: โ‚น840  

๐ŸŽ– 8th Prize: โ‚น690  

๐ŸŽ– 9th Prize: โ‚น580  

๐ŸŽ– 10th Prize: โ‚น520

๐Ÿ“– 11th to 50th: Seerat Book  

๐Ÿ“š 51 to 100: Ahl-us-Sunnah Magazine (3 Months Subscription)  

๐Ÿ“˜ 101 to 200: Hisnul Muslim (Dua Book)  

๐Ÿ’ป 201 to 1000: Online Special IIC Course  

๐Ÿ“ƒ E-Certificate sabhi ko milega

โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”โ”

๐Ÿ†“ Quiz Free hai  

๐ŸŒ 9 Languages Available  

๐Ÿ•ฐ Daily 1 Question โ€“ Only 100 Questions

๐Ÿ’ก Question ka sahi jawab kahan hai Qur'an mein yeh hint (rehnumayi) bhi di gayi hai  

๐Ÿ” Galat jawab sudharne ka edit option bhi hai

๐Ÿ“บ Result & Prize Distribution, Quiz End hone ke baad Live hoga

๐ŸŸข Har firqa, har maslak ke liye open hai, kyunki Qur'an ek hai  

๐Ÿšซ Aalim & Aalima participate nahi kar sakte

๐Ÿ“ฒ Abhi App Download karein aur shamil ho jaayein!

๐Ÿ”„ Yeh paighaam zyada se zyada share karein!  

๐ŸŒ™ Hamara Maqsad: Ummat Qurโ€™an ke qareeb aaye, use samajhkar padhe aur us par amal kare.

JazakAllahu Khair

Available courses

Subh-O-Shaam Ke Azkaar

Subh-O-Shaam Ke Azkaar

โ—†Subh-o-Shaam Ke Azkaar Sirf Sahih Ahadees Ki Roshni Mein.

โ—†Subh-o-Shaam Ke Azkaar Ki Ahmiat-o-Fazeelat.

โ—†Waqt-e-Subh Aur Waqt-e-Shaam Se Muraad.

โ—†Subh-o-Shaam Ke Azkaar Ki Paabandi Na Karne Ke Nuqsanaat

Strong Foundation Course - 2025

Strong Foundation Course - 2025

Strong Foundation Course โ€“ Mazboot Bunyadein Course โ€“ ek aisa course hai jo Hamare deen ke sabse Bunyadi ilm ek aasaan aur Proof waale tareeqe se sikhaata hai.

Agar aap mein Deen ke sabse Bunyadi topics seekh kar doosron tak pohchaane ka jazba hai to ye course bilkul miss nahi karna chahiye.


Ahl-e-Bait (ุฑูŽุถููŠูŽ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู†ู’ู‡ูู…ู’ ุฃูŽุฌู’ู…ูŽุนููŠู’ู†ู)

Ahl-e-Bait (ุฑูŽุถููŠูŽ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู†ู’ู‡ูู…ู’ ุฃูŽุฌู’ู…ูŽุนููŠู’ู†ู)

  • Ahl-e-Bait Ka Tafseeli Taaruf
  • Ahl-e-Bait Ki Fazeelat Aur Unka Maqaam-o-Martaba
  • Ahl-e-Bait Ke Silsile Mein Ahl-e-Sunnat Wal-Jamaat Ka Aqeeda
  • Ahl-e-Bait Aur Shia
  • Ahl-e-Bait Aur Sahaba-e-Kiraam Ki Aapsi Rishtedaariyaan
  • Ahl-e-Bait Ke Huqooq Aur Hamaari Zimmedaariyaan

Seerat-e-Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูฑู„ุณูŽู‘ู„ูŽุงู…ู

Seerat-e-Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูฑู„ุณูŽู‘ู„ูŽุงู…ู

Six-6 Days Mukhtasar Ilmi Wa Dawati Course

๐Ÿ•ฏ๏ธ Seerat-e-Ibrahim (ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู)

Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู ki Personal Life

Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู Ki Zindagi Mein 2 Biviyon Ka Kirdaar

Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู Aur Aulaad Ki Tarbiyat

Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู Aur Sabr

Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู Ki Duaaein

Ibrahim ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ุงู„ุณู‘ูŽู„ูŽุงู…ู Aur Aazmaaeish

๐ŸŽ™๏ธMuallim : Hafiz Khalil Ur Rahman Sanabili (Hafizahullah)

USOOl - US - SALASA

USOOl - US - SALASA

Islamic Information Centre Mumbai Ke

Zer-e-Ehtemam Online Course On Zoom App Mukhtasar ilmi Course

Sharah Kitaab
Al Usool Us Salasa (Urdu)
Shaikhul-Islam Muhammad Bin Abdul Wahhab

Deen Ke 3 Buniyadi Usool:

(1) Rab' Ki Marifat'

(2) Deen Ki Marifat'

(3) Nabi Wa RasoolKi Marifat'

Mudarris: Shaikh Atiqur Rahman Salafi

Al Qawa'id Al Arba'

Al Qawa'id Al Arba'

Exam online iicou.com par hoga 

Exam ka Time 11:00 am To 11:00 pm hoga 

Passing Marks 60

Pass hone Wale sabhi Students ko e-certificate milegi 

Salah Training Workshop - Roman

Salah Training Workshop - Roman

Salah Workshop

Aao kamyaabi ki taraf

Sabse Pehla Amal jiska hisaab hoga Qayamat ke din hai Namaz, Namaz achi niklegi to saare Amal ache niklenge. Is wajah se bohot zaroori hai ki hum apni Namaz Durust karein.

Is Course mein Seekhein

  •  Namaaz ka Tareeqa
  •  Namaaz mein Khushoo aur Sukoon kaise
  •  Notes ke Saath
  •  Namaz ka Ta'arufi Fiqh
  •  Kuch Duaa aur Azkaar ki Meaning 
  •  Practical Demonstration ke saath
  •  PPT ke saath

Salah Training Workshop - English

Salah Training Workshop - English

Salah Workshop

Come to Success

The first deed which will be accounted for on the Day of Judgment is Namaz. For this reason, it is very important that we correct our prayers.

We will Learn in this course

  • The method of prayer
  • How to bring Khushoo and Comfort in Namaz
  • With Notes
  • Ta'arufi Fiqh of  Namaz 
  • Meaning of some Duaa aur Azkaar
  • With Practical Demonstration
  • With PPT

Seerat e Aeimma Wa Muhaddiseen

Seerat e Aeimma Wa Muhaddiseen

Kya Aap Jaante Hain?
Ki Aeimma e Araba Kon Hain? Unki Zindagiyan kaisi guzrin?
Unhone Apne Zindagi mein Kis Tarah Ke Kaam Kiye?

Kya Aap Ye Jaante Hin?
Ki Hadees Ki 6 Mashoor Kitabein Kin Logon ne Likhi?
Unki Zindagiyan kaisi guzrin?
Unki Halaat e Zindagi Kya Hain?
Unhone Apni Zindagi mein Kon Se Kaam Kiye?
Aur Kis Tareeqe se Unhone Hadees ki Ye Kitaabein Likhin?
Ahadees ko Kaise Jama Kiya

Kitni mehnatein ki?
Kitni Pareshaniyan aur Mashaqqatein Bardaasht ki?

Agar Aap Ye Sab Jaanna Chaahte Hain to is Course mein Zaroor Enroll Karein.


English - Strong Foundation Course

English - Strong Foundation Course

Strong Foundation Course โ€“ Mazboot Bunyadein Course โ€“ ek aisa course hai jo Hamare deen ke sabse Bunyadi ilm ek aasaan aur Proof waale tareeqe se sikhaata hai.

Agar aap mein Deen ke sabse Bunyadi topics seekh kar doosron tak pohchaane ka jazba hai to ye course bilkul miss nahi karna chahiye.


Tawheed Study Workshop

Tawheed Study Workshop

- Woh Tawheed jiske bina koi bhi jannat mein nahi jaa sakta. 

- Dunya mein Aman, Izzat aur Salamati paane ka ek hi tareeqa hai - Tawheed par wapas aana aur har tarah ke Shirk se bachna

- Allah ka Haq hai bandon par ki hum Tawheed par qayam rahein. 

- Lekin log "Shirk" ke gunah mein is liye pad jaate hain kyunki woh shirk ko pehchaan nahi paate. 

- Ye topic hamari zindagi ka sabse important topic hai. Is topic ko achi tarha se samajhne ke liye, hamein mehnat karna hi chahiye.


Tawheed - Intensive

Tawheed - Intensive

- Woh Tawheed jiske bina koi bhi jannat mein nahi jaa sakta. 

- Dunya mein Aman, Izzat aur Salamati paane ka ek hi tareeqa hai - Tawheed par wapas aana aur har tarah ke Shirk se bachna

- Allah ka Haq hai bandon par ki hum Tawheed par qayam rahein. 

- Lekin log "Shirk" ke gunah mein is liye pad jaate hain kyunki woh shirk ko pehchaan nahi paate. 

- Ye topic hamari zindagi ka sabse important topic hai. Is topic ko achi tarha se samajhne ke liye, hamein mehnat karna hi chahiye.


Intensive - Strong Foundation Course - Roman

Intensive - Strong Foundation Course - Roman

Ye Course specially un students ke liye hai jo, "Strong Foundation Course" ko aala mayaar ke saath karna chahte hain. Ye Course finish karne par aapko "Intensive" Course ki certificate milegi.

Agar aapne notes mein atleast Important marking waali Ayatein, Ahadees aur points yaad kiye hain to aap "Intensive exams" attempt kar sakte hain. Yaqeenan, Strong Foundation Course - Aqeedah aur Manhaj ka ek bohot important course hai.  Agar aap is course ko aala mayaar ke saath karenge to In-sha-Allah aapko zaroor iska fayda haasil hoga. 

Intensive - Strong Foundation Course - English

Intensive - Strong Foundation Course - English

This course is especially for students who want to do "Strong Foundation Course" with high standards. Upon completion of this course you will receive a certificate for "Intensive" course.

You can attempt "Intensive exams" if you have atleast memorized the Ayaats, Hadiths and points with most important markings in your notes. Surely, Strong Foundation Course is a very important course in perspective of Belief (Aqeedah) and Methodology (Manhaj). If you do this course with High Standard then in-sha-Allah you will definitely benefit from it.

Quranic Arabic and Grammar - Roman

Quranic Arabic and Grammar - Roman

Agar aap chahte hain ki Quran o Hadees ki zubaan Arabic ke Grammer samjhein?

Agar aap Arabic Language ke Rules o usool ko samajhna chahte hain?

Agar aap ki khwahish hai ki Aap Arabic Language mein kuch padh ya samajh sakein?

To aayen is course ko join karen.

Quranic Arabic and Grammar - Urdu

Quranic Arabic and Grammar - Urdu

Agar aap chahte hain ki Quran o Hadees ki zubaan Arabic ke Grammer samjhein?

Agar aap Arabic Language ke Rules o usool ko samajhna chahte hain?

Agar aap ki khwahish hai ki Aap Arabic Language mein kuch padh ya samajh sakein?

To aayen is course ko join karen.



Site announcements

IICOU mein aapka istiqbaal hai!

by Zaid Patel -

Assalaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu

Aapka Istiqbaal hai - Islamic Information Center Online University (IICOU) mein.ย 

Maqsad - Purpose

IICOU ka maqsad hai authentic ilm ko aasaan, interesting , accessible aur available banana. Aap apne computer ya mobile se hamare courses padh sakte hain, online exams de sakte hain aur certificate bhi pa sakte hain.

Step by Step

Ye ek choti shuruwaat hai. Ye site ab bhi under development hai. In-Sha-Allah jald complete ho jayegi.ย 

Hamara maqsad hai ki one by one Islamic Information Center (IIC) ke saare courses IICOU par upload kiye jaaein. IIC ne pichle 15 saalon mein kaee Islamic Courses padhae hain.

Language

Aksar courses mein teaching language - Aasaan Urdu hogi

Baaz Courses ki notes - Roman Urdu, Urdu, English mein hai.

Feedback

Koi bhi Mushkil ho to hamein feedback zaroor dein. Taaki hum is website ko aur behtar bana sakein. Call karein 8080807836 ya email karein at info@iicou.com

Cost

Is website par In-Sha-Allah aise course bhi honge jo totally free honge aur aise courses bhi honge jis mein hum ek mamooli si fees charge karenge - taaki hum apne kuch working costs manage kar sakein. IIC ek Non-Profit organisation hai, hamara maqsad sirf Deen ki saheeh maloomaat logon mein aam karna hai.

JazakAllahu Khair

(Edited by Touseef Muhammad - original submission Wednesday, 5 August 2020, 9:07 AM)


Course categories